Quantcast
Channel: Geeta Dutt – Atul’s Song A Day- A choice collection of Hindi Film & Non-Film Songs
Viewing all articles
Browse latest Browse all 461

Nazar ne aisa maara

$
0
0

This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

“Baazigar”(1959) was produced by Ram Dayal and directed by Nanabhai Bhatt for Mukul Pictures, Bombay. The movie had Nirupa Roy, Jairaj, Tiwari, Romi, Nazi, Helen, Mridula, Rana, Samson, Rajan Kapoor, Jagdish Kamal, Poonam Kapoor, Bimla, Jeewankala, Rafiq, Hanuman, Balaram, Narayan, Shafi, Dhondhu, Bihari, Vitthal, Sundar, Shammi, Majnu, Tiger (the dog), Mushtaq (the horse) etc in it.

This B grade movie had six songs in it.

Here is the first song from this song to appear in the blog. This song is sung by Lata and Geeta Dutt. Prem Dhawan is the lyricist. Music is composed by Chitragupta.

Only the audio of this song is available. I request our knowledgeable readers to throw light on the picturisation of this song as well as on this movie itself.


Song-Nazar ne aisa maara (Baazigar)(1959) Singers-Lata, Geeta Dutt, Lyrics-Prem Dhawan, MD-Chitragupta
Both

Lyrics

nazar ne aisa maara
jigar hai paara paara
magar phir bhi arre zaalim
tera hi naam lete hain

zamaane bhar ke jhoothhe
lagi dil ki na chhoote
kabhi nazren jo milti hain
kaleja thhaam lete hain
nazar ne aisa maara

tujhpe bharosa kiya
tu hi daga de gaya
tujhpe bharosa kiya
tu hi daga de gaya
pyaar ke qasoor ki
ye kaisi saza de gaya

gaye ham kaam se
phire badnaam se
tere liye kya kya ilzaam lete hain
nazar ne aisa maara
jigar hai paara paara
magar phir bhi arre zaalim
tera hi naam lete hain
nazar ne aisa maara

dil ka na sauda karo
ye to anmol hai
dil ka na sauda karo
ye to anmol hai

poochho dil waalon se hi
iska jo mol hai
ik meethhe bol pe
ankhiyon se tol ke ae
dene waale dil ko bedaam dete hain
nazar ne aisa maara
jigar hai paara paara
magar phir bhi arre zaalim
tera hi naam lete hain
nazar ne aisa maara

jaane kya adaayen liye
taaron bhari raat thhi
jaane kya adaayen liye
taaron bhari raat thhi
hamen tera hona pada
koi aisi baat thhi

jab se ye pyaar hai
dil beqaraar hai
ghadi ghadi aahon se kaam lete hain
nazar ne aisa maara
jigar hai paara paara
magar phir bhi arre zaalim
tera hi naam lete hain
zamaane bhar ke jhoothhe
lagi dil ki na chhoote
kaleja thham lete hain
nazar ne aisa maara



Viewing all articles
Browse latest Browse all 461

Trending Articles